Sunday 25 December 2011

Ae Humnawan

Kyun chhed diya mujhko ki ab main rukun nahi likhti jaaun,
banke kavita kuchh chhand kabhi, teri ankhon mein tikti jaun,
ab tum likh do mujhko dil pe apne is kadar ae humnawan,
jab tak yaadein hu zinda rahun, fir halke halke mit ti jaun..
.
Main albeli mehki firti kabhi isi sheher kabhi kisi dagar,
Mujhko na samjho awaara, main toofanon si nahi magar
Ab tum mujhko roko thaamo apne andar ae humnawan,
Jab tak mehkun tere saath rahu, fir haule se mukti paun,

Main chanchal jal ki parchhai, yun kal kal behti jaati hun,
Na des koi na pardesi, ik sagar khoje jaati hun,
Ab tum mujhko bhar lo khud mein aise ae mere humnawan,
Jab tak sheetal hu tere paas rahun, fir dheere se galti jaun,

Main mitti ki wo gudiya hun, jismein sapno ka hai dera,
Par samay ke nirdayi haathon ne mere prano ko aa ghera,
Ab tum mujhko rakh lo apne ghar mein aise ae humnawan,
Jab tak dil behle rakhna tum, fir chupke se ghisti jaun,

Aur jab tak yaadein hun zinda rahun, fir halke halke mit ti jaun


2 comments:

  1. Nice poem, please try to write hindi poems in hindi script. That way it will touch the heart...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you sir.... I will surely try the advice next time... you can go thru my poem... maa ka aanchal.. its in HINDI SCRIPT... waiting fr your response

      Delete