Tuesday 12 April 2011

If you can feel...

If you can feel the warmth of my tears,
you can feel the fire inside,


If you can see the expressionless face,
you can feel the chill outside,


I f you can feel my cold touch,
you can feel me dead inside,


If you can feel my restless breath,
you can feel the sorrow inside,


If you can feel something unheard,
you feel the eyes tonguetied,


If you can feel the impatient heartbeats,
then you can feel my emotional height,


If you can feel the false smile,
you can feel the love I hide,


But you can't feel the desperation,
Coz you already love her more,
The desperation to tell you really,
That my love is equally pure,


I will wait till the last of life,
I will wait till the last of time,
When you will feel the love for me,
You will say, "Will you be mine"

Sunday 10 April 2011

Meri kahani...

Kamra roshan karnewala diya bhi bada badnaseeb hai,
Uska bhi haal kuchh ajeeb hai,
Kona Kona bayan karta hai uski wafadaari,
Na jane kyun fir bhi uske andhera kareeb hai,

Jalta hai par fir bhi aah nahi karta,
Bujhne ki bhi wo chaah nahi karta,
Zindagi bhi to uski jalne mei hai,
Pal pal dhaga pighalne mei hai,

Chaahe abhi bujha do,
Chaahe khud mitne do,
Khatm to ujaala andhere mei hoga,
Par baat to ye bhi sach hai,
Ki andhera khatm savere mei hoga,

Fir jab din jalega ik baar,
Sulaghti shaam ke us paar,
Fir kisi diye ka hoga imtehaan,
Aur fir andhere mein ghulti ik jaan,
Savera dhundhte jannat mein kho jayegi,
Fir ye kahani silsila ho jayegi...

Mera sab saman kho gaya...

Aaj mann udaas hai, jeevan bhi ro gaya,
kya karun, kya kahun,
Mera sab saman kho gaya,

Qad mera itte se itna kab ho gaya,
Sab jagah dekha, mera jhula bhi kho gaya,
Pariyon ki dunia ka sapna khud so gaya,
Kya karun, kya kahun,
Mera sab saman kho gaya,

Jhuthmuth ke kisso ka pitara bhi kho gaya,
Chanda mama ka koi aur dulara ho gaya,
Aasmaan se toda wo tara bhi kho gaya,
Kya karun, kya kahun,
Mera sab saaman kho gaya,

Mera motiyon ka wo pyara sa mala bhi kho gaya,
Hawa wala neela gubbara bhi kho gaya,
Mera cheeni mitti ka wo pyala bhi kho gaya,
Kya karun, kya kahun,
Mera sab saman  kho gaya,

Meri pyari gudiya ka kahin aur byah ho gaya,
Meri kagaz ki kashti ka koi aur kinara ho gaya,
Wo tairti thi jisme wo sagar bhi kho gaya,
Kya karun, kya kahun,
Mera sab saman kho gaya,

Badalon se mera jhagda kab ho gaya,
Indradhanush pe jaane ka rasta bhi kho gaya,
Ret pe banaye makano ka naksha bhi kho gaya,
Kya karun, kya kahun,
Mera sab saman  kho gaya,

Meri gullak ko phoote zamana kab ho gaya,
Meri chavanniyon ka wo khazana bhi kho gaya,
Aaj phir guldasta tod ke bhaagti hun main,
Par chhupne ka mera wo thikana hi kho gaya,
Ab samaj mein aaya, kaise sab ho gaya,
Is badhte samay mein mera bachpan hi kho gaya,

Kya karun, kya kahun,
mera sab saman kho gaya.....






Saturday 9 April 2011

...tujhse hoke guzarti hai....

Meri khwaishon ki khushboo,
Mehekti hai....tujhse hoke guzarti hai,
Ek justuju si is dil mein,
Kuchh kehti hai, tujhse hoke guzarti hai,
Par alfaazon pe mere kyun pehra laga hai,
ye rog bhi itna gehra laga hai,
ye dil na jeeta hai na marta hai,
pal pal ye aanhen bharta hai,
teri dhadkan se apni dhadkan milane ko,
tujhe pyar mein apna banane ko,
mujhe toot jaane de tujh me,
kho jaane de is khoobsoorat bahar mein,
Jahan jannat bhi khushnaseeb,
theherti hai, tujhse hoke guzarti hai,
meri khwahishon ki khushboo,
mehekti hai, tujhse hoke guzarti hai....
tujhse hoke guzarti hai....