Sunday 10 April 2011

Mera sab saman kho gaya...

Aaj mann udaas hai, jeevan bhi ro gaya,
kya karun, kya kahun,
Mera sab saman kho gaya,

Qad mera itte se itna kab ho gaya,
Sab jagah dekha, mera jhula bhi kho gaya,
Pariyon ki dunia ka sapna khud so gaya,
Kya karun, kya kahun,
Mera sab saman kho gaya,

Jhuthmuth ke kisso ka pitara bhi kho gaya,
Chanda mama ka koi aur dulara ho gaya,
Aasmaan se toda wo tara bhi kho gaya,
Kya karun, kya kahun,
Mera sab saaman kho gaya,

Mera motiyon ka wo pyara sa mala bhi kho gaya,
Hawa wala neela gubbara bhi kho gaya,
Mera cheeni mitti ka wo pyala bhi kho gaya,
Kya karun, kya kahun,
Mera sab saman  kho gaya,

Meri pyari gudiya ka kahin aur byah ho gaya,
Meri kagaz ki kashti ka koi aur kinara ho gaya,
Wo tairti thi jisme wo sagar bhi kho gaya,
Kya karun, kya kahun,
Mera sab saman kho gaya,

Badalon se mera jhagda kab ho gaya,
Indradhanush pe jaane ka rasta bhi kho gaya,
Ret pe banaye makano ka naksha bhi kho gaya,
Kya karun, kya kahun,
Mera sab saman  kho gaya,

Meri gullak ko phoote zamana kab ho gaya,
Meri chavanniyon ka wo khazana bhi kho gaya,
Aaj phir guldasta tod ke bhaagti hun main,
Par chhupne ka mera wo thikana hi kho gaya,
Ab samaj mein aaya, kaise sab ho gaya,
Is badhte samay mein mera bachpan hi kho gaya,

Kya karun, kya kahun,
mera sab saman kho gaya.....






5 comments:

  1. Hey friend... am the writer of this poem. Kabhi na kabhi humari life mein kuchh aise moments zaroor aate hai...jab hume man karta hia ki hum fir se chhote ho jaye... and waise hi shararte karen...waise hi masti karen...par yaad aata hai ki aisa ab nahi ho sakta to kitni hi baar humari aankhon mei aansu aa jate hai... ye poem aapko aapke bachpan se rubaru karane ke liye.....

    ReplyDelete
  2. hey anshi its realy a senti + heart touchn 1 well tried keep on doing

    ReplyDelete
  3. yeah i'll say its superb well written.....senti....but i want the next blog...to b a happy one....nothing like kho gayaaaaaaaaaaaaa...okkkkkkk

    ReplyDelete
  4. It is a masterpiece in itself,it made me nostalgic but each n evry word written in it is very true,v at sum point in our life have experienced all these things....

    ReplyDelete