Saturday 24 December 2011

Maa ka aanchal

Lo bheeg gaya mera aanchal, fir yaad mujhe wo aaya hai,
Mere rookhe naino mein fir wo banke aah sa chhaya hai,
Fir gehen manan main karti hun wo chala gaya aakhir kis or,
Sarhad pe seena taan khada wo amar ho gaya atal kishor,
Mujhse na nibha saka wo un vachano ko saare tod gaya,
Aur jeevan sandhya kaal mein apni maa ko kaise chhod gaya,
Jis maa ne swem balidaan dia, tujhe bharat ki dhaal banaya tha,
Aur haath chhuda apna tujhko dharti ka laal banaya tha,
Usko tu nirmam haal mein kaise chhan chhan marta chhod gaya,
Aur do do maaon ke aanchal ko tu ek hi kasht se jod gaya,
Par fir bhi garv ka wo akash hum sab ke hriday mein chhaya hai,
Ki hum dono hi ne saubhagya se ik shaheed putra jo paya hai,
Hai gad gad mera mann tere karmo ne paar lagaya hai,
Lo bheeg gaya mera aanchal, fir yaad mujhe wo aaya hai..

2 comments: