Thursday, 14 February 2013

Fir veerta se vaar kar...


Kyun hai nirash tu, haar kar,
Fir uth aur fir prahar kar,
Hai balheen uske saamne
To tez pehle dhar kar,

Aur veerta se vaar kar


Rakh paon pehle dhyan se,
Fir akad seena taan kar,
Aur neenv gehri kar chahe,
Dharti ka seena faad kar,

Aur veerta se vaar kar,


Gar satya ka ho cheerharan,
To baat kar dahaad kar,
Naari ka kar samman tu,
Un danavo ko maar kar,

Aur veerta se vaa kar,


Uga fir suraj gagan mei,
Gardish se tare jhaad kar,
De balidaan us lakhya ke liye,
Swyam ko uspe vaar kar,

Aur veerta se vaar kar.

1 comment: